My Hindi/Urdu Poems and more
Alfazon ko mere milne lagi hai iltifaat
Muhobbat mein sirf hum barbaad nahin hue
® Rajwanshi
02/03/2023
Jinhe pyar nahin rulata,
Unhe pyar ki nishaniyan rula deti hain.
® Rajwanshi
Haal-e-dil pucha usne, lafz humne jode hi the
Haal-e-dil jaanta tha shayad, duniya ki baat ched di.
® Rajwanshi
Aazmaish-e-taqdeer mein khuda hai tou khaasta nahin.
Hathon ki lakiron mein safar to hai, raasta nahin.
® Rajwanshi
Lehza e noor, noor e khusboo
samunder ko jisne namkeen bana diya
Raunaq aapki khubsurat afvaa si thi,
Tasveer ne afvaa ko yakeen bana diya
® Rajwanshi
Aytvaar ka aitbaar, hafte bhar ki rusvayee,
Zamane ki wahi raounaq, dil ki wahi tanhaii.
® Rajwanshi
Raat bhar yaad tujhe iss tarah karte hain
Jaise subah imtihaan ho hamara.
® Rajwanshi
Chotta ghav ka nishaan rehjaata hai zindagi bhar,
Kam waqt ka pyar yaad rehjaata hai zindagi bhar.
® Rajwanshi
Goonj-e-shikwa se sisakta ye jahan
aaj khamoshi bhi khamosh kahan
® Rajwanshi
Zehar woh dawa hai, jisse kuch iss kadar lena hota hai.
Marne ke liye kam, aur Jeene keliye bohut peena hota hai
® Rajwanshi
Moothi bhar namak-e-zamana, justuju ki tarah
khula tha kahin zakhm arzoo ki tarah.
® Rajwanshi
Sihai kam hai gar, tou lahu le mera, aye Khuda!
Tu kahaniyan adhuri na likha kar.
® Rajwanshi
Thandi dhoop, mehakti subah, gulshan be-baat khila hai.
Aaj Muhobat ne kisika saath diya hai
® Rajwanshi
Qaid-e-samundra se bhara chasham
Wo ankhon ki chamak samjhte rahe
® Rajwanshi
Bajaye iske ki bewafa ho jayein
Behtar hoga juda ho jayein.
Waqt ki kharashein chehre pe ubhar ayee kal raat,
Nakhun-e-yaad kisine chedi thi teri kal raat.
® Rajwanshi
Tere aankhon ne khushbu sa kuch, saanso se kaha tha ek baar.
Dil-e-mayoos ko muddat se wahi shaam-e-manzar ka hai intezaar.
® Rajwanshi
Zamane ke aage dono majboor hote chale
Hum bewafa aur tum bekasoor hote chale.
® Rajwanshi
Anjano ko diye mashware, galle mein soolie bangaye.
Teri yaadon ke station pe khade hum coolie bangaye
® Rajwanshi
Dastak-e-dil, ye sawaal-e-arzoo kaun hai
Agar tum dil mein ho, tou baahar kaun hai?
® Rajwanshi
Ishara kar, zara muskura, jawaab to bhej
Kitna hona hai barbaad, zara hisaab tou bhej.
® Rajwanshi
Saza na seh paaoge, iss sach ko daga do.
Aisa karo, Mere Qatl ka ilzaam, mujhi par laga do.
® Rajwanshi
Kabhi yoon bhi tera haal-e-dil jaan lete hain
Hasti tasveer par, aansoonon se padi Jhooriyan gin lete hain.
® Rajwanshi
Bekhaauf badalte sabab, anjaam bhool jaoun kyun,
khamosh kitaab mein likhe hastraoun ko ab mitaoun kyun,
Suna hai yaadon se aajati hai hichki, yaadon se sataoun kyun,
Abhi Abhi soya hai gham-e-gustakh, ab issey jagaou kyun.
® Rajwanshi
Dhadakte dil bun jaate hai kashmakash shamshaan,
Unkahe shabdon ke boj se jab thak jaata hai insaan.
® Rajwanshi
Ye jo tumhe bhoolne mein waqt lag raha hai na,
Darasal yehi kuch lamhe zindagi ke aakhri hain.
Apni yaadon se kehdo chutti de de aaj hamein
Ishq mein bhi ek Aitvaar hona chahiye
Musalsal nahin hoti baat ye shikayat hai usse
Lafzon se bayan ho jaye kya itnihi muhobat hai usse
® Rajwanshi
Geeton se sheron se bachke woh mehrbaan nikle,
Tujhse baat karneke saare bahane bezubaan nikle.
® Rajwanshi
Tohmaton ki baarish mein ek baar muskuraya tha
jab kisine tera naam liya.
® Rajwanshi
khamosh khirki se hai ghoorti baarish is baar
Sabr ki seema tootkar tooti hai is baar
Lau na jaane kitni der theri rahi is baar
Aisi baarish se parwaana jalega is baar
® Rajwanshi
Teri khushbu mein lipti ye chittiyan agar ud jayien
Kya kya kahaniyan sheher mein ud jayein.
® Rajwanshi
Tanaz-e-andaaz ko na ulfat samajh
Khut ki umeed mein khali kaagaz aayega
Pehle bhi behka hai tu, na ab behek
Na fir woh ayega, na tu baaz aayega
® Rajwanshi
Wafaa maap kar jaane kaun, safa kahan tak hai
Dekna tou ab ye hai ki tu bewafa kahan tak hai.
® Rajwanshi
Bekhaauf badalte sabab, anjaam bhool jaoun kyun,
khamosh kitaab mein likhe hastraoun ko ab mitaoun kyun,
Suna hai yaadon se aajati hai hichki, yaadon se sataoun kyun,
Abhi Abhi soya hai gham-e-gustakh, ab issey jagaou kyun.
® Rajwanshi
Dhadakte dil bun jaate hai kashmakash shamshaan,
Unkahe shabdon ke boj se jab thak jaata hai insaan.
® Rajwanshi
Dastak-e-dil, ye sawaal-e-arzoo kaun hai
Agar tum dil mein ho, tou baahar kaun hai?
® Rajwanshi
Saza na seh paaoge, iss sach ko daga do.
Aisa karo, Mere Qatl ka ilzaam, mujhi par laga do.
® Rajwanshi
Ungli se kuch khamosh alfaaz seene pe firah gaya koi
Sihai-e-dil mit-ti bhi nahin dikhi bhi nahin, pyaar ka bayaan kar gaya koi
®
Gile kaagaz ki tarah beparwah hai log yahan
koi likhta bhi nahin koi jalata bhi nahin
Shareique-e-tanhayee ho jaye do gaz neeche
koi uthata bhi nhin koi dabata bhi nahin
®
Chingariyon failee aur ka dil sulagna baaqi hai
Raakh Urne par Tamasha abhi baaqi hai
®
Chashm-e-yaad, dhoondla zamana, sakht dhoop se be-khauf raha woh.
zarron ke aandhi mein, aankehin khooli rakhi hogi usne.
®
Us roz hosla gar bada diya hota
aaj aankhon mein teri kajal na phela hota
®
Khwabon se seham jaata hoon
Warna neend tou aankhon mein arse se hai
®
Zulfein bhikrakar khandon par
Sab bataya karti thi
Aaj Zulfon ko parande mein jakad rakha hai.
Nabz tou chal rahi hai, palkein nahin jhapakti.
®
Mera fahm meri nafsiyat, sabko achi lagti hain
Tujse bepanah mohobat mere nuqs mein hain
®
fahm=intellect, nafsiyat=psychology
Teri baaton mein vaade kum kasme zyada hai
Jaise is duniya mein pyar kum rasmein zyada hai
®
Amazing💕😍
ReplyDelete